Gandum ki kasht ka time 2023

Pakistan main gandum ki kasht ka time 30 November say lay kr 10 December tak hy. Gandum ki ageeti aur Pechetti kasht k live beej ka istamaal mukhtalif hy. Jis tafseel neechy di gae hy.

30 November Tak kasht k live 40kg say 50kg Per acer istamaal krin.

Yakum ta 10 December k darmiyan kasht k live 50kg say 55kg per Acer gandum ka beej istamal krin.

Khari kapas main gandum kasht k live beej ka tanasub 55kg say 60kg per acer rakhin.

Aabpash(آبپاش) ilaqo main gamdum ki manzoor shuda iqsam.

Abpash ilaqo main gandum ki manzoor shuda aqsam aur Gandum ki kasht ka time nechy diya gya hy.

Manzoor Shuda iqsamWaqt e Kasht
Fakhar Bakhar25 oct say 15 Nov
Fakhar Satar19 Nov say 10 Dec
Arooj 22 , Nishan , Duram 2021, Akbar 19 , Dilkash 20, NARC Super, Ghazi 19, Subhani 21, Rahber 21, MH 211 Nov say 40 Nov
Johar 16, Borlag 16, Zinkol 16, Ujala 16, Anaaj 17, Faisalabad 81 Nov say 10 Dec
Sadiq 21, Nawab 211 Nov say 10 dec

Abpash (آبپاش) ilaqo main khadoo ka istamal

Zarkhezi ZameenKhadoo ki Miqdar fee Acer
Kamzoor Zameen2 Bori DAP, 2 Bori Urea, 1 Bori SOP/MOP
Darmiyani Zarkheez ZameenDedh Bori DAP, Ponay 2 Bori Urea, 1 Bori SOP/MOP
Zarkheez ZameenSawa Bori DAP, Dedh Bori Urea, 1 Bori SOP/MOP
Zayada Paidawar k live Bowai k waqt phosphorusi aur Potash khadoo ka istamal dril say Karin.

fasal KO nitrogen khad 2 ya 3 iqsat main Dalin.

Barani (بارانی) ilaqo main Gandum ki manzoor shuda iqsam

Manzor Shuda iqsamSharah Beej
Markaz 1940kg to 50kg fee Acer
Arooj 22——
Barani 17——
Pakistan 13——
Fatah jung 16——
Ahsan 16——
MA 21——
Sharah ugao 85% say hargiz kam na honi chahive.

Barani ( بارانی) ilaqo main Khadoo ka istamal.

Kashtkar gandum ki fee acer paidawar hasil krny k live darj zail safarshat k mutabiq khadoo ka istamal krin.

Salana BarishilaqyBawaqt e kasht khado ka istamal fee Acer
Kam Barish k ilaqyRajan pur, Layyah, DG khan, bhakar, M.Garh, Mianwali, jhand, Pindi kheeb aur khoushab k ilaqy1 Bori DAP, 1 Bori Urea, aur Adhi Bori SOP/MOP
Darmiyani Barish k ilaqyChaqwal, Tala gung, Pind wadinSawa Bori DAP, sawa bori Urea, Adhi bori MOP/SOP
Zyada Barish k ilaqyRawalpindi, Attock, Jhelum, Suhawa, Narowal, Gujarat, Shakar garh.Dedh bori DAP , Dedh Bori Urea, 1 Bori SOP/MOP

Kasht say pehly aam hal chala k bhari suhaga dain aur bazariya dril kasht krin.

Gamdum ki katai gahai aur zakheera main ehtiyatin

Tafseel nechy di gae hy.

  1. Gandum ki katai fasal ki pori paknay per karin.
  2. Katai k duran Radio, TV, per mosmi pesh goe tawajah say sunain aur is k mutabiq intazamat krin.
  3. Barshoo aur aandhi ki wajah say giri hoe gandum k katai harvestor ki bajae Daranti say krin.
  4. Katai k duran bhariya choti banain aur sitoo ka rukh upar ki taraf rakhin
  5. Gandum ko store krny k live nae borion ka istamal krin
  6. Gandum ko store krny say phly gudamo ki safai krin.

Mazeed malomat k live apny qareebi zarat office say ya zarat k toll free number per rabta krin shukriya.

Leave a Comment