Gandum ki Goliyan

Pakistan aur dosray momalik main gandum ki goliyan Gandum ko keero makoro say mehfoz rakhany k live istamal ki jati hain. Jin main aik chemical hota hay jis ka naam hy (Aluminum Phosphide).

Yeh chemical gas k tor py kaam krta hy dosri goliyon ki tarha isay keeray makory barahe rast istamal ni krty.

Lakin phr bhe mar jaty hain aur gandum kharab hony say mehfoz rehti hy. Is ki wajah hy in goliyon main zehreli gas hoti hy jis ko songhany k bad keery makory mar jaty hain.

In Golyon ko bary paimany py gandum store krny k live istamal kiya jata hay. Jaisay k government godam.

isi tarha in ko gharo main gandum mehfoz rakhnay k live bhe istamal kiya jata hay. Gandum aik aaise jins hy jis ko sara saal istamal kiya jata hy aur khoraq k tor per istamal kiya jata hay.

Gandum ki goliyan kaisay istamal krin ?

G to aap k zahin main ab yeh sawal hoja k inko istamal kaisay krna hay. Taky yeh gandum main mix ho kr gandum ko zahir alood na krin aur gandum bhe mehfooz rahy.

To is sawal ka jawab yeh hy aap in goliyoo ko aaisay gandum main ni dal sakty ni to yeh gandum ko zehrila kr dain ge.

Gandum ki goliyo ko istamal krny k live in goliyo ko kisi kapray main lapit k mazboti say gandh lga dain taky yeh usi kapry say zehreli gas nikalti rahin aur gandum k dano main mix na hon.

Mazeed in goliyo ko bacho ki pahonch say door rakhain.

gandum ki goli price in pakistan

Gandum ki goliyan zyada mahengi ni hoti aap ko aik goli Rs. 10 ya Rs. 20 tak mil jati hay. Aur full dabi 600 say 700 k darmiyan mil jati hy.

ProductGandum ki Goliyan
PricePKR. 600 to 700

Yeh goliyan leny say pehlay ehtiyati tadabeer aur in ka istamal janna zarori hay. Taky in goliyo say ksi bhe kism ka koi nuksan na ho.

Gandum ki Goliya in English

(Aluminum Phosphide) Tablets

Leave a Comment